****LIBAS KI SUNNATE****
Assalamualaikum.
1-Rasoolullah sallallaho alayhi
wasallam ko safed rang ka kapda
pasand tha..
2-Kameez.kurta ya sadri wagaira
pehne to dahina hath asteen me
dalen,phir bayan hath,isi tarah
paijama aur shalwar ke liye pehle
dayan phir bayan pair..
3-Paijama,shalwar ya lungi takhne
se upar rakkhen,takhne se
neeche kapda latkane se Allah
naraz hote hain,Nabi-e-kareem
s.a.w ne farmaya tehband se
neeche latkane wale par Allah
pak nazre rehmat nhi
farmayenge.
4-Naya kapda pehan kar yeh dua
padhen "Allahhumma Lakal
Hamdo Kama Kasau-Tanihi
Asaluka Khairahu Wa Khaira
Ma'sunia Lahu Wa'Aauzubika
Min-Sharrihi Wa-Sharri Ma'Sunia
Lahu"(Tarjuma-Aye Allah.!Tere Hi
Liye Sab Tareef Hai,Jaisa Ki Tune
Yeh Kapda Mujhe Pehnaya..!Main
Tujhse Uski Bhalai Ki Aur Us
Cheez Ki Bhalai Ka Sawal Karta
Hun,Jiske Liye Yeh Banaya Gaya...
Hai Aur Main Teri Panah Chahta
Hun Uski Burai Se Aur Us Cheez
Ki Burai Se,Jiske Liye Yeh Banaya
Gaya Hai.)
5-Amame ke neeche topi rakhna
sunnat hai,bagair topi ke amama
bandna khilafe sunnat hai.
6-Siyah safa bandna masnoon
hai,shimla(turra)chodna bhi
sunnat hai,shimla ki mikdar
(lambai)ek hath ya isse zyada bhi
sabit hai.
7-Kapde utarte waqt Bismillah
kahen aur ibtida(shuru)bayin
janib se karen,chahe kurta ho ya
paijama..
8-Joota pehante waqt dahine paw
se shuru karen phir bayan paw..
9-Joota ya chappal utarte waqt
pehle bayan phir dhina pair.
10-Naya joota pehante waqt yeh
dua padhen "Allahumma inni
asaluka min khairihi va khairi ma
huvlahu va aauzubik minsharrihi
va sharri mahuv lahu"(tarjuma-A
ye Allah main tujh se apni bhalai
aur jis garaz ke liye yeh hai uski
bhalai aur sawal karta hun,aur
uske shar(burai)se panah mangta
hun aur jis garaz ke liye hai us ke
shar se panah mangta hun)..
Allah hm sab ko Janab-e-rasoolu
llah s.a.w ki ek ek sunnat ko jaan
kar uspe amal karne wala bana
de..Ameen..
pehne to dahina hath asteen me
dalen,phir bayan hath,isi tarah
paijama aur shalwar ke liye pehle
dayan phir bayan pair..
3-Paijama,shalwar ya lungi takhne
se upar rakkhen,takhne se
neeche kapda latkane se Allah
naraz hote hain,Nabi-e-kareem
s.a.w ne farmaya tehband se
neeche latkane wale par Allah
pak nazre rehmat nhi
farmayenge.
4-Naya kapda pehan kar yeh dua
padhen "Allahhumma Lakal
Hamdo Kama Kasau-Tanihi
Asaluka Khairahu Wa Khaira
Ma'sunia Lahu Wa'Aauzubika
Min-Sharrihi Wa-Sharri Ma'Sunia
Lahu"(Tarjuma-Aye Allah.!Tere Hi
Liye Sab Tareef Hai,Jaisa Ki Tune
Yeh Kapda Mujhe Pehnaya..!Main
Tujhse Uski Bhalai Ki Aur Us
Cheez Ki Bhalai Ka Sawal Karta
Hun,Jiske Liye Yeh Banaya Gaya...
Hai Aur Main Teri Panah Chahta
Hun Uski Burai Se Aur Us Cheez
Ki Burai Se,Jiske Liye Yeh Banaya
Gaya Hai.)
5-Amame ke neeche topi rakhna
sunnat hai,bagair topi ke amama
bandna khilafe sunnat hai.
6-Siyah safa bandna masnoon
hai,shimla(turra)chodna bhi
sunnat hai,shimla ki mikdar
(lambai)ek hath ya isse zyada bhi
sabit hai.
7-Kapde utarte waqt Bismillah
kahen aur ibtida(shuru)bayin
janib se karen,chahe kurta ho ya
paijama..
8-Joota pehante waqt dahine paw
se shuru karen phir bayan paw..
9-Joota ya chappal utarte waqt
pehle bayan phir dhina pair.
10-Naya joota pehante waqt yeh
dua padhen "Allahumma inni
asaluka min khairihi va khairi ma
huvlahu va aauzubik minsharrihi
va sharri mahuv lahu"(tarjuma-A
ye Allah main tujh se apni bhalai
aur jis garaz ke liye yeh hai uski
bhalai aur sawal karta hun,aur
uske shar(burai)se panah mangta
hun aur jis garaz ke liye hai us ke
shar se panah mangta hun)..
Allah hm sab ko Janab-e-rasoolu
llah s.a.w ki ek ek sunnat ko jaan
kar uspe amal karne wala bana
de..Ameen..
کوئی تبصرے نہیں:
ایک تبصرہ شائع کریں