ہفتہ، 15 دسمبر، 2012

Naat For kids



Naat For kids


Posted By : Mushahid Razvi

This Section Includes Naats Specially for Children In Easy Urdu English:

It is without doubt that since Sunni Dawat-e- Islami has been established in the many countries and in particular the UK, many young children are now reciting naats than ever before (Alhumdolillah)

In addition to this, we felt a section on our site 'Naats for Kids' where people (specially children) can easily learn, and read more new naat sharifs, and hamds in their local masjids and like events.

There are 100's of different Naats that you will read here, including some famous ones, Inshallah we believe you will read, learn, teach and treasure these naats for many many years to come (Inshallah).

Feel free to copy, share or print any of these naats

Qaseeda Burda Sharif

Maula Ya Salle Wasallim Daaeman Abadan
Ala Habibeka Khayril Khalqe Kulle Hemi

Alhumdo Lillaahe Munshil Khalqe Min Adami
Shum Mas Salaato Alal Mukhtaare Fil Qadami

Amin Tazak Kore Jiraanim Bezi Salaami
Mazajta Dam-An Jara Mim Muqlatim Bedami

Fama Le Ay Nay Ka In Qultak Fofa Hamata
Wama Le Qalbe Ka Inna Qultastafiq Yahemi

Fa Kayfa Tunkero Hubbam Ba’ada Ma Shahedat
Behi Alayka Udulud Damaey Was Saqami

Astagferul-Laaha Min Qawlim Bela Amaalin
Laqad Nasabto Behi Naslal Lezi Ooqomi

Muhammadun Sayyedul Kawnayni Was Shaqalayni
Wal Fariqayni Min Urbiw Wa Min Ajami

Nabiyyonal Aamerun Naahi Fala Ahadun
Abarra Fi Qawle La Minhu Wala Na Aami

Huwal Habibul Lazi Turja Shafa Atohu
Le Kulle Hawlim Minal Ahwaale Muqtahemi

Da’aa Ilal Laahe Fal Mustam Sekuna Behi
Mustam Sekuna Be Hablin Ghayre Munfasemi

Kaz Zahre Fi Tarafin Wal Badre Fi Sharafin
Wal Bahre Fi Karamiw Wad Dahre Fi Hemami

Ya Akramal Khalqe Maliman Aluzo Behi
Sewa Ka Inda Hululil Hadesil Amami

Wal Aale Was Sahbe Summat Tabe-Eena Lahum
Ahlittoka Wannoka Wal Hilmi Wal Karami

Summar Rida An Abi Bakriw Wa An Umarin
Wa An Usmana Wa An Aliyyiw Zil Karami

Wagfir Lena Shedeha Wag Fir Leqare Eha
Sa Al Tokal Khayra Ya Zal Jude Wal Karami

Ya Rabbe Bil Mustafa Ballig Maqasedna
Wag Fir Lana Ma Mada Ya Wasi al Karami

Author: Shaikh-Ul-Islam, Hazrat Shaikh Sharfuddin, Abu Abdullah,
Muhammad Bin Saeed, Bin Hammad, Al Busairi (Radi Allaho anhu.)

Durood Sharif

Sallallaho Alai Ka Ya Rasoolallah, Wasallam  Alai Ka Ya Habiballah

Ujaala Jis Ka Hai Do Jahaa Mei, Woh Mere Aaqa Ki Roshni Hai
Unhi Ke Qadmo Ki Barkato Se, Yeh Zindagi Aaj Zindagi Hai

Jamil Woh Hai, Shaqil Woh Hai, Kafil Woh Hai, Wakil Woh Hai
Jalil Woh Hai, Khalil Woh Hai, Har Ek Ada Unki, Ik Nayi Hai

Woh Khushbooe Khuld Se Mustafa Hai, Ke Mushk Bhi Hai Ke Jis Ke Aage
Mahekti Galiyaa Yeh Keh Rahi Hai, Sawaari Unki Abhi Aa Gayi Hai


Salle  Ala  Nabiyena,  Salle Ala Muhammadin
Salle  Ala Shafiyena, Salle Ala Muhammadin

Sweet Madeena 

Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2)

How is beautiful Madina, very very good Madina,
My choice is Madina, How fine is Madina,
I can tell about Madina, We can tell about Madina
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2)

Give me a chance to go to Madina,
Give me a chance to go to Madina,
Our heart say to us, go to Madina,
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2)

So appealing is Madina, So alluring is Madina,
So enchanting is Madina, So attracting is Madina,
So loving is Madina, So loving is Madina,
So charming is Madina,
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2)

Everyone’s eyes say their place is Madina,
Everyone’s eyes say their place is Madina,
Each and every heart is saying Madina,
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2)
Quite nice is Madina, Quite clear is Madina,
Quite fine is Madina, Quite famous is Madina,
Quite matchless is Madina,
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2)

Connect your heart to love the Madina,
Connect your heart to love the Madina,
Because there is no city like Madina,
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2)

Much bright is Madina, Much glean is Madina,
Much clean is Madina, Much prayer is Madina,
Much holy is Madina, Much kind is Madina,
Sweeet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2)

My wish is Madina, My heart is Madina,
My shelter is Madina, My axis is Madina,
My moon is Madina, My soul is Madina,
My heaven is Madina,
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x2)

We will be forgiven by Muhammad,
We will be forgiven by Muhammad,
Kamals wish is to die in Madina,
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely (x3)

How is beautiful Madina, Very very good Madina,
My choice is Madina, How fine is Madina,
I can tell about Madina, we can tell about Madina,
Such a beautiful Madina,
Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, very lovely,
Very lovely, very lovely, very lovely...

Jashn-E-Aamad-E-Rasool

Jashne Aamade Rasool Allah  Hi Allah
Bibi Aminah  Ke Phool  Allah  Hi Allah
Allahi   Bolo, Bolo   Allah  Hi Allah
Bibi Aminah  Ke Phool  Allah  Hi Allah

Jab Ke Sarkaar Tashrif Laaney Lagey
Hooro Ghilmaa(N) Bhi Khushiyaa(N) Mana Ne Lagey
Har Taraf Unki Roshni Cha Gayi
Mustafa Kya Miley Zindagi Mil Gayi
Aey Halima, Teri Gaud Mei(N) Aa Gaya
Dono(N) Aa’lam Ke Rasool, Allah Hi Allah

Chehraaey Mustafa Jab Dikhaaya Gaya
Jhuk Gaye Taarey Aur Chaand Sharma Gaya
Aminah Dekh Kar Muskuraane Lagi(N)
Aur Hawwa Mariam Bhi Khushiyaa(N) Mana Ne Lagi(N)
Aminah Bibi Sab Se Yeh Keh Ne Lagi(N)
Dua Ho Gayi Qubool, Allah Hi Allah

Shaadiyaane Khushi Ke Bajaaey Gaye
Shaad Ke Naghme Sunaaey Gaye
Har Taraf Shor Salley Ala Ho Gaya
Aaj Paida Habibe Khuda Ho Gaya
Phir To Jibril Ne Bhi Yeh Ailaan Kiya
Yeh Khuda Ke Rasool, Allah Hi Allah
Yeh Rasoolo(N) Ke Rasool, Allah Hi Allah

Dilon k Gulshan

Dilo Ke  GulshanDilo Ke  Gulshan Mahek Rahe Hai
Yeh Kaif  Kyo  Aaj Aa  Rahe Hai
Kuch Aisa   Mehsoos  Ho  Raha Hai
Huzoor    Tashrif   La   Rahe Hai

Navaazhiso Par, Navaazhisei Hai
Inaayato Par, Inaayatei Hai
Nabi Ki Na’atei, Suna, Suna Kar
Ham Apni Qismat Jaga Rahe Hai

Kahaa Ka Mansab, Kahaa Ki Daulat
Qasam Khuda Ki, Yeh Hai Haqiqat
Jinhe Bulaaya, Hai Mustafa Ne
Wohi Madiney Ko, Ja Rahe Hai

May Apne Khayrul Wara Ke Sad’qe
Inki Shaane Ata Ke Sad’qe
Bhara Hai Aibo Se Mera Daaman
Huzoor Phir Bhi Nibaah Rahe Hai

Habibe Daavar, Gharib Parwar
Rasoole Akram, Karam Ke Pekar
Kisi Ko Dar Par Bula Rahe Hai
Kisi Ke Khwaabo Mei Aa Rahe Hai

Banega Jaane Ka Phir Bahaana
Kahega Aakar Koi Diwaana
Chalo Niyazi, Tumhe Madiney
Madiney Waale Bula Rahe Hai

Author: Janaab Abdul Sattar Niyazi

Zamin o Zaman

Zamino Zamaan tumhare liye
Makino Makan tumhare liye
Chunino Chuna tumhare liye
Bane do jahan tumhare liye

Dahan me zuban tumhare liye
Badan me hai Jaan tumhare liye
Hum aye Yahan tumhare liye
Uthe bhi Wahan tumhare liye

Farishte Khidam Rasoole Hashm
Tamame Umam Ghulame karam
Wajoodo Adam Haduso kidam
Jahan me aya tumhare liye

Kalimo Naji Masiho Safi
Khalilo Razi Rasoolo Nabi
Atiko wasi Gani-o-Ali
Sana ki Zuban tumhare liye

Asaalate kul Imaamate kul
Siyaadate kul Imaarate kul
Hukoomate kul Wilayate kul
Khuda ke Yahan tumhare liye

Tumhari Chamak tumhari Damak
Tumhari Jhalak tumhari Mahak
Zamino Falak Simako Samak
Me sikka rawa tumhare liye

Ye Shamso Qamar ye Shaamo Sahar
Ye bargo shajar ye baago samar
Ye tego sipar ye Taajo kamar
Ye hukme Rawan tumare liye

Na Roohe Ami na Arshe bari
Na Laohe Mubin koyee bi kahin
Khabar hi nahin jo Ramz khile
Azal ki Nihan tumhare liye

Jina me Chaman Chaman me Saman
Saman me Phaban Phaban me Dulhan
Sazaa’e Mahan par aise Minan
Ye amno amaa tumhare liye

Khalilo Naji Masiho Safi
Sabhi se kahin kahin bhi banin
Ye be-khabari ke Khalq phiri
Kahan se kahan tumhare liye

Ishaare se Chand chir diya
Chupey huwe Khur ko pher liya
Gaye huwe Din ko Asr kiya
Ye Taabo Tawaan tumhare liye

Sabah woh chale ke Baag phale
Wo Phool khile ke din ho bhale
Liwa ke tale Sana me khule
Raza ki zuban tumhare liye

Uthado Parda

Uthado Parda dikhado Chehra
Ke Noore bari hijab me hai
Zamaana taarikh ho rahaa hai
Ke mehr kab se naqaab me hai

Unhiki boo ma ya saman hai
Unhi ka Jalwa chaman chaman hai
Unhi se Gulshan mehak rahe hai
Unhi ki rangat ghulab me hai

Kharey hai Munkar Nakir sar par
Na koyee haami na koyee yaawar
Batado aakar mere Payambar
Ke sakht mushkil jawab me hai

Khuda-e Qah’har he gazab par
Khule he badkaariyo ke Daftar
Bachaalo aakar Shafi-e Mehshar
Tumhara banda azaab me hai

Kareem aisa mila ke jiske
Khule he haath aur bhare khazaane
Batao-e mufliso ke phir kyoon
Tumhara dil iztaraab mein hai

Karim apne karam ka Sadqa
Laeem beqadr ko na sharma
Too aur Raza se Hisaab lena
Raza bhi koyee Hisaab me hai

Hajiyo Aao

Haajiyo aao Shahenshah ka Roza dekho
Kaaba to dekh chuke Kaabe ka Kaaba dekho

Rukhne Shaami se miti wah’shate shaame gurbat
Ab Madine ko chalo subhe dil aaraa dekho

Aabe Zam-Zam to piyaa khoob bujhaa-ee pyaase
Aao joode Shahe Kowsar ka bi darya dekho

Zayre Mizaab mile khoob Karamke cheente
Abre Rehmat ka yaha zowr barasnaa dekho

Khoob aankho se lagaaya he Gilaafe Kaaba
Kasre Mehboob ke parde ka bhi jalwah dekho

Zeenate Kaaba me tha laakh arooso ka banaw
Jalwa farma yaha kownain ka doolhaa dekho

Dho chuka zulmate dil bosaa-e Sunge Aswad
Khaak bosi-e-Madina ka bhi Rutbaa dekho

Jum’ma-e Makkah tha Eid, Ahle Ibaadat keliye
Mujrimo! Aawo yaha Eide Do Shamba dekho

Raqse Bismilki bahaare to Minaa me dekhi
Dil khonaa be Fishaa ka bhi Tarapna dekho

Gaur sey sun to Raza Kaabey sey aati hai sadaa
Meri aankho se mere Pyaare ka Rozaa dekho

Un ki Mahe ne Dil K Gunche

Unki mahek ne dil ke Ghunche khila diye hain
Jis raah chal diye hain Koochey basa diye hain

Jab aa gayi he joshe rehmat pe unki ankhen
Jalte bhujha diye hain rote hasa diye hain

Ik dil hamara kya hai aazaar uska kitna
Tum ne to chalte phirte moorde jila diye hain

Unke nisaar koyee kaise hi runj mein ho
Jab yaad agaye hain sab gham bhula diye hain

Aane do ya dubo do ab to Tumhari Jaanib
Kashti tumhi pe chori Langar utha diye hain

Dulha se itna kehdo pyare sawari roko
Mushkil mein hain Baraati poorkhaar vadiye hain

Allah kya Jahannam ab bhi na sard hoga
Ro ro ke Mustafa ne darya baha diye hain

Mere Kareem se gar qatra kisi ne maanga
Darya baha diye hain dur be baha diye hain

Mulke sukhan ki shahi tum ko Raza musallam
Jis simt aagaye ho sikke bitha diye hain

Lam Yati Nazeeruka

Lam  Ya’ati  Naziro  Ka Fi Nazrin
Lam  Ya’ati  Naziro  Ka Fi Nazrin
Misle  To  Na  Shud  Paida Jaana
Jag Raaj Ko Taaj Torey Sar So
Hai Tujh Ko Shahey Do Sara Jaana

Al Bahro Alaa Wal Mavjo Tagha
Man Bekaso Tufaa Hosh Ruba
Manjdhaar Mei Hu Bigri Hai Hawaa
Mori Nayya Paar Laga Jaana

Ya Shamso Nazrate Ila Layli
Chu Ba Tai’bah Rasi Arze Ba Kuni
Tori Jyot Ki Jhal, Jhal Jag Mei Rachi
Meri Shab Ne Na Din Hona Jaana

Laka Badrun Fil Wajhil Ajmal
Khat Haaley Maah Zulf Abre Ajal
Tore Chandan Chandra Par Kundal
Rehmat Ki Bharan Barsa Jaana

Ana Fi Atshiv Wa Sakha Ka Atam
Aey Gesu-Aey Paak, Aey Abre Karam
Barsan Haare Rimjhim, Rimjhim
Do Boond  Idhar  Bhi Gira Jaana

Ya Kaafelati Zidi Ajalak
Rahme Bar Hasrate Tishna Labak
Mora Jiyera Larje Dharak, Dharak
Tai’bah Se Abhi Na Suna Jaana

Ar Rooho  Fida Ka Fazid Harka
Yak Shola Digar Barzan Ishqa
Mora Tan, Man, Dhan, Sab Phoonk Diya
Yeh Jaa Bhi Pyaare Jala Jaana

Bas Khaama-Aey Khaam Nawaaey Raza
Na Yeh Taraz Meri Na Yeh Rang Mera
Irshaade Ahibba Na’atik Tha
Nachaar Is Raah Para Jaana


Sab se aula Wo Aal Hamara Nabi

Sab se aula wa aala hamara Nabi
Sab se baala wa waala hamara Nabi

Apne Moula ka pyara hamara Nabi
Dono aalam ka Dulha ha hamara Nabi

Bazme Aakhir ka Shama faroza huwa
Noore awwal ka jalwa hamara Nabi

Buj gayi jis ke aage sabhi mash’ale
Shamma woh lekeh aaya hamara Nabi

Jis ke talwon ka dhowan he aabe Hayaat
Hai woh jaane Maseeha hamara Nabi

Khalq se Awliya Awliya se Rusul
Aur Rasoolon se aala hamara Nabi

Jaise sab ka Khuda ek he waise hi
In ka un ka thumhara hamara Nabi

Kawn deta he dene ko muh chahiye
Dene waala he sacha hamara Nabi

Kya khabar kitne taare khile chhup gaye
Par na doobe na dooba hamara Nabi

Saare ooncho meh ooncha samajhye jise
Hai oos oonche se ooncha hamara Nabi

Ghum zadoh ko Raza muzda dije ke he
Be kason ka sahara hamara Nabi

Mustafa Jan-E-Rahemat Pe lakhon Salam

Mustafa  Jaane   Rehmat Pe Laakho Salaam
Sham-Aey Bazme Hidaayat Pe Laakho Salaam

Jis Ke Aage Sare Sarwaraa Kham Rahe
Us Sare Taaje Rif’at Pe Laakho Salaam

Patli, Patli Gule Quds Ki Pattiyaa
Un Labo Ki Nazaakat Pe Laakho Salaam

Jis Ki Mimbar Bani, Gardane Auliya
Us Qadam Ki Karaamat Pe Laakho Salaam

Woh Dahan Jis Ki Har Baat, Wahi-Aey Khuda
Chash’maaey Ilmo Hikmat Pe Laakho Salaam

Jis Ki Taski Se Rote Huey Hans Pare
Us Tabassum Ki Aadat Pe Laakho Salaam

Noor Ke Chasme Lehraaei, Darya Bahei
Ungliyo Ki Karaamat Pe Laakho Salaam

Kul Jahaa Milk Aur Jaw Ki Roti Ghiza
Us Shikam Ki Qana’at Pe Laakho Salaam

Khaai Qur’aney Khaake Guzar Ki Qasam
Us Kafe Paa Ki Hurmat Pe Laakho Salaam

Allah, Allah, Woh Bachpane Ki Phaban
Us Khuda Bhaati Soorat Pe Laakho Salaam

Woh Daso Jin Ko Jannat Ka Muzda Mila
Us Mubaarak Jama’at Pe Laakho Salaam

Jin Ke Dushman Pe Laa’nat Hai Allah Ki
Un Sab Aih’l-E Mohabbat Pe Laakho Salaam

Mere Ustaad, Maa-Baap, Aur Bhaai Bahen
Aih’l-E Waldo Asirat Pe Laakho Salaam

Khalq Ke Daad Ras, Sab Ke Fariyaad Ras
Kahfe Roze Musibat Pe Laakho Salaam

Sham-Aey Bazme ‘Dana Hu’ May Gham Kum Ana
Sharhe Matne Huyyat Pe Laakho Salaam

Jis Se Khaarey KooWey Shiraaey Jaa Bane
Us Zulaaley Halaawat Pe Laakho Salaam

Jis Suhaani Gharee Chamka Taibah Ka Chaand
Oos Dil Afroz Saa'at Pe Laakho Salaam

Kaash Mehshar Mey Jab Unki Aamad Ho Aur
Beyjhey Sab unki Shauqat Pe Laakho Salaam

Mujh Sey Khidmat Key Qudsi Kahey Haan RAZA!
Mustafa Jaaney Rehmat Pe Lakhon Salaam


Truly he is the one…


Chorus:
Allahu, Allahu, Allahu,  x3

Truly he is the one; he has no father or son (x2)
Everything in creation was by him begun (x2)
With his infinite power, anything could be done (x2)
Ask Allah for his pardon, Ask Allah for his pardon
And you’ll enter the garden

Chorus

Before him there were none, and partners he has none (x2)
He knows what in apparent and what is hidden (x2)
All the fate of creation has already been written (x2)
His will is always done, His will is always done
And can never be undone

Chorus

From amongst all humans, Muhammad was chosen (x2)
He was Umme Laqab and he was an orphan (x2)
Yet Allah sent him to those who were pagans (x2)
Oh Allah let us drink, Oh Allah let us drink
From his hand in the fountain

Chorus

Oh Allah the Almighty

O Allah the Almighty Allah Hu Allah
Protect me and guide me Allah Hu Allah
Through your love and mercy Allah Hu Allah
Ya Allah don’t deprive me Allah Hu Allah
From beholding your beauty Allah Hu Allah
O my Lord accept this plea Allah Hu Allah

CHORUS:
Hasbi rabbi jallallah Allah Hu Allah
Ma fi qalbi ghayrullah Allah Hu Allah
Noore Muhammed sallallah Allah Hu Allah
La ilaha Illalah Allah Hu Allah x2

Woh Tanha kaun hai
Badshah wo kaun hai
Meherba wo kaun hai
Kya unchi shan hai
Uskey sab nishan hai
Sab dilon ki jan hai
Allah hu Allah

Chorus

Arabic:
Ya rabbal ?alamin
Salli ?ala Tahal amin
Fi kulli waqtin wa hin
Imla qalbi bil yaqin
Thabbitni ala hadhad din
Waghfir li wal muslimin

CHORUS

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں

ٹیوٹر اپڈیٹس دیکھیں اور فالو کریں