منگل، 23 اکتوبر، 2012

QURBANI KE CHAND MASAEL

QURBANI KE CHAND MASAEL


***QURBANI KIS PAR WAJIB HAI?
Qurbani Har us Musalman , Aaqil,
BAALIGH, Muqeem, MARD O
AURAT par Wajib hoti hai jiski
Milkiyat me Qurbani k Dino me
7.5 TOLE SONA YA 52.5 Tole
CHANDI ya Chandi ki Qeemat ka
Ma
al ho jo uski Hajat e Aslya se
Ziada aur Qarz se khali ho.
***Agar koi Shaqs Maqrooz ho to
agar Qarz ada karne ke baad uski
Milkyat me 52.5 tole Chandi k
utna maal , zaroori cheezo se
Ziada ho to us par Qurbani Wajib
hai, warna nahi.
***AURAT PAR QURBANI KA
WUJOOB
Agar kisi Aurat k pass Zewaraat
ho aur Nisaab ke Barabar ho, to
agar Wo Aurat un Zewaraat ki
khud Malik ho to us par
QURBANI WAJIB hai.
¤SHAUHAR par BIWI ki taraf se
Qurbani karna WAJIB nahi. Biwi
par Agar QURBANI wajib ho to
wo Khud apne paiso se QURBANI
kare, albatta SHAUHAR BIWI ki
taraf se Qurbani karde to uski
Wajib Qurbani ada hojayegi.
**Ek BAKRA PURE GHAR WALO ki
Wajib Qurbani ki taraf se kafi
nahi,
Is se sirf ek hi SHAQS ki WAJIB
QURBANI ada hogi. Albatta Apne
Naam ki Nafil Qurbani kar k Ajar
o Sawab me Sab Ghar walo;
balke tamam UMMAT ko Shareek
kiya jasakta hai jaisa ke Huzoor
Sallallahu alaihi wasallam ne ek
MENDHA Puri UMMAT ki taraf se
Qurban kiya,
To iska Matlab Ajar o Sawab me
Puri Ummat ka Shareek karna hai
na ke Puri Ummat ki Taraf se
Wajib Qurbani ada karna. Aur
yahi Matlab to Ahadis ka bhi hai
jisme Pure Ghar walo ki taraf se
EK BAKRE ki Qurbani ka Zikr hai,
warna agar ye Matlab ho ke Ek
Bakra pure Ghar walo ki Taraf se
Ada e Wajib ke lye kaafi hai to Ek
Gaye aur Bail bhi pure Ghar Walo
ki taraf se kaafi hoga chahe Ghar
me 50 afrad par Qurbani Wakica
ho. Phir Huzoor sallallahu alaihi
wasallam ne jo Tehdeed ki hai k
"Gaye, Bail me Sirf 7 afrad
shareek hosakte hai, wo Baatil
aur Bekar hojayegi,
Islye Haq baat ye hai ke ek bakre
se sirf ek Shaqs ki Wajib Qurbani
Ada hogi.
ALLAHU ALAM.
***Baaz log aisa karte hai k 1 Saal
apni Taraf se Qurbani karli,
Ek saal apni Biwi ki taraf se kardi,
Ek saal Ladke ki taraf se,
AISA KARNA SAHEEH NAHI.
Balke Jis tarah ZAKAT O SADQA
FITR Har saal Wajib hota hai usi
tarah QURBANI Har Saheb e
Nisab par har saal Wajib hoti hai.
Islye Ghar k jitne Afrad Saheb e
Nisab ho un sab k naam Qurbani
karna Zaroori hai.
***AGAR KOI SHAQS QURBANI K
DINO ME SAHEB E NISAB HO US
PAR QURBANI WAJIB HAI.
***Qurbani k Dino me Jo Musafir
ho us par Qurbani Wajib nahi
***Agar Koi Shaqs Qurbani k
Dino k Shuru me FAQEER tha
lekin Akhir me Maaldar hogaya to
us par Qurbani Wajib hogi.
***Ghareeb (Jis par Qurbani wajib
nahi) agar Qurbani ki Niyyat se
Qurbani ke Dino me koi Janwar
Khareede to us par US JANWAR
ki QURBANI WAJIB hogi, ab us ko
na bech sakta hai aur na hi badal
sakta hai.
***QAZA QURBANI
Jis par Qurbani Wajib thi usme
GHAFLAT ya NA WAQFIYAT ki
Wajeh se Kayee SAAL Qurbani
nahi ki to Us ki QAZA ki Surat ye
hai ke wo TAUBA O ISTIGHFAAR
kare aur Har Saal ki QURBANI ki
Maalyat ke Baqadar, QEEMAT
ADA kare.
Kahi kuch confusion ho to kisi
Sunni alim ki help lein..۔۔۔۔۔۔۔

کوئی تبصرے نہیں:

ایک تبصرہ شائع کریں

ٹیوٹر اپڈیٹس دیکھیں اور فالو کریں