Naat Sharif written by TaajushShariah on 3rd Ramadan al-Mubarak before Asr Prayers in Bareilly Sharif. RamadanGift — reading Safeena e Bakhshish "Deewan e Huzoor Tajushshariah"
Zindagi ye nahin hay kisi ke liye
Zindagi hay Nabi ki, Nabi ke liye
Na-Samajh martay hain zindagi ke liye
Jeena marna hay sab kuch Nabi ke liye
Chandni Chaar din hay Sabhi ke liye
hay Sada Chaand Abdun Nabi ke liye
"Anta Feehim" ke daaman mein Munkir bhi hain
Hum rahay Ishrat-e-Daaimi ke liye
Aeysh kar lo yahan Munkiro chaar din
Mar ke tarso ge iss Zindagi k liye
Daag e Ishq e Nabi le chalo Qabr mein
Hay Charaag e Lahad Roshni ke liye
Naqsh e Paa e Sagaan e Nabi dekhiye
Ye pataa hay bohat Rahbari ke liye
Wo bulaatay hain, koi ye Awaz de
Dam mein jaa pohnchun mein Haaziri ke liye
Aey Naseem e Saba Unn se keh de zara
Muztarib hay Gadaa Haaziri ke liye
Jin ke dil mein hay Ishq e Nabi ki Chamak
wo tarastay nahin chaandni ke liye
Jin ke dil mein hain Jalway teray Ishq ke
Wo hain Najm e Zamaan roshni ke liye
~Akhtar e Qadiri khuld mein chal diya
khuld waa hay har ik Qaadiri ke liye
Zindagi hay Nabi ki, Nabi ke liye
Na-Samajh martay hain zindagi ke liye
Jeena marna hay sab kuch Nabi ke liye
Chandni Chaar din hay Sabhi ke liye
hay Sada Chaand Abdun Nabi ke liye
"Anta Feehim" ke daaman mein Munkir bhi hain
Hum rahay Ishrat-e-Daaimi ke liye
Aeysh kar lo yahan Munkiro chaar din
Mar ke tarso ge iss Zindagi k liye
Daag e Ishq e Nabi le chalo Qabr mein
Hay Charaag e Lahad Roshni ke liye
Naqsh e Paa e Sagaan e Nabi dekhiye
Ye pataa hay bohat Rahbari ke liye
Wo bulaatay hain, koi ye Awaz de
Dam mein jaa pohnchun mein Haaziri ke liye
Aey Naseem e Saba Unn se keh de zara
Muztarib hay Gadaa Haaziri ke liye
Jin ke dil mein hay Ishq e Nabi ki Chamak
wo tarastay nahin chaandni ke liye
Jin ke dil mein hain Jalway teray Ishq ke
Wo hain Najm e Zamaan roshni ke liye
~Akhtar e Qadiri khuld mein chal diya
khuld waa hay har ik Qaadiri ke liye
Aameen
جواب دیںحذف کریںJazak Allah